surma missi kanghi choti bhuli hai sukhe patton par ek maina baithi hai kohre ke larzida hathon mein aksar tulsi aur adrak ki chae chhalakti hai sawan ne dharti par phaila din aankhen lekin mera chehra ab bhi khali hai patthar ke kulhon par hath na pher kumhaar sukhi mitti aur bikharne lagti hai wo jo rang chamakta hai us tahni par hath aae to phul nahin to titli hai shower ke niche ghulti jati hai sham meri aankhon par ek towel lipti hai tair rahi hai aag ki machhli sine mein tum samjhe the shayad barf ki barfi hai apne hi mirche podine sukh gae warna duniya mash ki dal to ab bhi hai gard ke laddu pede gande bachche khaen rani billi dudh jalebi khati hai apna tape baja kar kawwa sunta hai sab ko apni boli achchhi lagti hai aib purane ghar ka ye hi hai baba koi aae na aae ghanti bajti hai is sunsan si sham mein unche tile par zulfen khole wo ladki kyon baithi hai tin samandar do sahra us ke aage nagin jaisi ek lakir chamakti hai