teri nigah se tujh ko khabar hai ki kya hua dil zindagi se bar-e-digar aashna hua ek ek qadam pe us ke hua sajda-rez main guzra tha jis jahan ko kabhi raundta hua dekha tujhe to aarzuon ka hujum tha paya tujhe to kuchh na tha baqi raha hua dasht-e-junun mein reg-e-rawan se khabar mili phirta raha hai tu bhi mujhe dhundhta hua ehsas-e-nau ne zist ka naqsha badal diya mahrumiyon ka yun to chaman hai khila hua chamka hai ban ke sarw-e-charaghan tamam umr kya aansuon ka tar tha tujh se bandha hua bikhre hain zindagi ke kuchh is tarah tar-o-pud har zarra apne-ap mein mahshar-numa hua puchho to ek ek hai tanha sulag raha dekho to shahr shahr hai mela laga hua parda utha sako to jigar tak gudaz hai chaho ki khud ho yun to hai patthar pada hua insan-dosti ke taqazon ka silsila insan-dushmani ki hadon se mila hua aqdar ke fareb mein ab aa chuka 'nazar' kashti dubo gaya jo khuda, nakhuda hua