tanhai mil saki na ghadi bhar kisi ke sath saya bhi mere sath raha raushni ke sath raushan hua na koi daricha mere baghair ek rabt-e-khas rakhta hun main us gali ke sath do din ki zindagi mein bhi dhadka tha hashr ka karte rahe gunah magar be-dili ke sath main be-amal tha fard-e-amal kaise ban gai kaisa mazaq hai ye meri bebasi ke sath main us ko chhod sakta hun 'tahir' na wo mujhe ek zindagi bandhi hai meri zindagi ke sath