suraj ne ek nazar mere zaKHmon pe Dal ke

suraj ne ek nazar mere zakhmon pe dal ke
dekha hai mujh ko khidki se phir sar nikal ke

rakhte hi panw ghumti chakraati rah ne
phenka hai mujh ko dur khala mein uchhaal ke

kya khwahishen zamin ke niche dabi rahin
ghaaron se kuchh mujassame nikle visal ke

chhan chhan ke aa rahi ho guphaon mein raushni
tan par wahi libas hon pedon ki chhaal ke

rangon ki rau hai 'zeb' ki gardish mein hai mudam
be-shakl-o-jism ubhre hain paikar khayal ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close