talkh-tar aur zara baada-e-safi saqi mere sine mein khas-o-khar hain kafi saqi zulmat o nur ko pyalon mein samo deti hai sham padte hi teri chashm-e-ghilafi saqi zahr ka jam hi de zahr bhi hai aab-e-hayat khushk-sali ki to ho jae talafi saqi nashsha-e-mai se zara zakhm ke tanke tute ta-abad silsila-e-sina-shigafi saqi zindagani ka maraz kam nahin hone pata ye maraz kam na ho allah hai shafi saqi kat di gardish-e-ayyam ki zanjir us ne kaun hai gardish-e-mina ke munafi saqi ek kaf-e-ju hai mata-e-khirad o sikka-e-hosh jam-e-mai de ki ye aalam hai izafi saqi