surkh chashm itni kahin hoti hai bedari se lahu utra hai teri aankhon mein khun-khwari se waqt rukhsat ke tere ai mere ji ke dushman tham tham aaj rakha dil ko main kis khwari se bas main aaya jo tumhaare use chaho so karo kya sitam aadmi sahta nahin lachaari se kis ne nazron mein khuda jaane use mal dala nargis aaj aankh uthati nahin bimari se kya kahun walwala-e-shauq ko tere main 'amir' ghar mein jate hain parae to khabardari se