zanjir-e-junun kuchh aur khanak hum raqs-e-tamanna dekhenge duniya ka tamasha dekh chuke ab apna tamasha dekhenge ek umr hui ye soch ke hum jate hi nahin gulshan ki taraf tum aur bhi yaad aaoge hamein jab gul koi khilta dekhenge kya faeda aise manzar se kyun khud hi na kar len band aankhen itni hi badhegi tishna-labi hum aap ko jitna dekhenge tum kya samjho tum kya jaano furqat mein tumhaari diwane kya jaaniye kya kya dekh chuke kya jaaniye kya kya dekhenge hone do andhera aaj ki shab gul kar do charaghon ke chehre hum aaj khud apni mahfil mein dil apna hi jalta dekhenge 'naushad' hum un ki mahfil se is waste uth kar aae hain parwanon ka jalna dekh chuke ab apna tadapna dekhenge