us shajar par kuchh dinon tak aashiyan mera bhi tha chaar rangon ka sahi lekin makan mera bhi tha haq tumhaari tarah har shai par yahan mera bhi tha ye zamin meri bhi thi ye aasman mera bhi tha dekh lo meri jabin par bhi hain sajdon ke nishan zindagi ke waste ek aastan mera bhi tha is liye honton ko mere pyas chhu pati nahin dukhtar-e-raz bhi meri pir-e-mughan mera bhi tha jaane kyun dozakh se bad-tar ho gae haalat aaj rashk-e-jannat kal talak hindostan mera bhi tha aazmaya zarf ko mere bhi duniya ne 'nawab' zist ke har mod par ek imtihan mera bhi tha