tamasha rahguzar-dar-rahguzar afsos ka hai bhale hi khush hain sab lekin safar afsos ka hai bahishti bagh ki sab titliyan hain par-burida shikasta rang ta-hadd-e-nazar afsos ka hai abhi itra rahe hain ssakinan-e-qasr-shahi abhi aankhon se un ke mahw ghar afsos ka hai haweli ab kahan jo qahqahon se gunjti thi jahan tak dekhta hun main khandar afsos ka hai kahan mumkin tere ishrat-kade mein sham katen abhi to samna har gam par afsos ka hai azizo aao ab ek al-widai jashn kar len ki is ke baad ek lamba safar afsos ka hai