talkhi-kash-e-naumidi-e-didar bahut hain us nargis-e-bimar ke bimar bahut hain aalam pe hai chhaya hua ek yas ka aalam yani ki tamanna ke giraftar bahut hain ek wasl ki tadbir hai ek hijr mein jina jo kaam ki karne hain wo dushwar bahut hain wo tera kharidar-e-qadim aaj kahan hai ye sach hai ki ab tere kharidar bahut hain mehnat ho musibat ho sitam ho to maza hai milna tera aasan hai talabgar bahut hain ushshaq ki parwah nahin khud tujh ko wagarna ji tujh pe fida karne ko tayyar bahut hain 'wahshat' sukhan o lutf-e-sukhan aur hi shai hai diwan mein yaron ke to ashaar bahut hain