swad-e-gham mein kahin gosha-e-aman na mila hum aise khoe ki phir tera aastan na mila ghamon ki bazm ki tanhaiyon ki mahfil thi hamein wo dushman-e-tamkin kahan kahan na mila ajib daur-e-sitam hai ki dil ko muddat se nawed-e-gham na mili muzhda-e-ziyan na mila kise hai yaad ki sai-o-talab ki rahon mein kahan mila hamein tera nishan kahan na mila udhar wafa ka gila hai ki dil lahu na hua udhar sitam ko shikayat ki qadr-dan na mila labon ko nutq ka eajaz to mila 'taban' magar sukut ka pairaya-e-bayan na mila