tasir-e-barq-e-husn jo un ke sukhan mein thi ek larzish-e-khafi mere sare badan mein thi wan se nikal ke phir na faraghat hui nasib aasudgi ki jaan teri anjuman mein thi ek rang-e-iltifat bhi us be-rukhi mein tha ek sadgi bhi us nigah-e-sahar fan mein thi mohtaj-e-bu-e-itr na tha jism-e-khub-e-yar khushbu-e-dilbari thi jo us pairahan mein thi kuchh dil hi bujh gaya hai mera warna aaj kal kaifiyat-e-bahaar ki shiddat chaman mein thi malum ho gai mere dil ko rah-e-shauq wo baat pyar ki jo hunuz us dahan mein thi ghurbat ki subh mein bhi nahin hai wo raushni jo raushni ki sham-e-sawad-e-watan mein thi aish gudaz-e-dil bhi gham-e-ashiqi mein tha ek rahat-e-latif bhi zimn-e-mehan mein thi achchha hua ki khatir-e-'hasrat' se hat gai haibat si ek jo khatra-e-dar-o-rasan mein thi