taslim mujh ko main tere pasang to nahin lekin tujhe nasib mera rang to nahin main kis liye fasil-e-badan mein chhupa rahun meri kisi ke sath koi jang to nahin ghabra rahe ho kyun meri basti ka fasla hai chand gam sainkadon farsang to nahin bharte ho kis liye meri taswir mein ye rang mauj-e-shafaq ka rang mera rang to nahin be-ehtiyatiyon se teri tut jaega dil ek aaina hai koi sang to nahin phir kyun karun khayal kisi aur des ka mere liye zamin-e-watan tang to nahin din raat apne aap se rahna khafa khafa 'shahid' guzar-basar ka koi dhang to nahin