tha bahut be-dard lekin hausla deta raha wo mujhe har shab nae ghar ka pata deta raha main use dhunda kiya jismon ki jannat mein magar wo mujhe khwabon mein milne ki saza deta raha kab use rukne ki fursat thi ghurur-e-husn mein main taaqub mein rawan tha main sada deta raha jal raha tha khud hi be-maegi ki aag mein main isi daman se shoalon ko hawa deta raha garche mohlik tha magar insaf ki ummid par muddaton ek zakhm qatil ko sada deta raha main to is ki justuju mein tha guzar aaya magar dasht-e-mazi der tak bu-e-wafa deta raha sab se pichhe rah gaya hun 'arsh' yun is dasht mein main safar mein har kisi ko rasta deta raha