talash-o-fikr mein nazron ki hairani nahin jati jo manzil se guzarta hun wo pahchani nahin jati ajab dastur-e-alam hai ajab insaf-e-duniya hai salib-o-dar par haq baat bhi mani nahin jati zamane ki sadaen aap to pahchan lete hain mere hi dard ki aawaz pahchani nahin jati mata-e-zindagi lut jaegi malum hai lekin hawas walon ki hirs-e-daulat-e-fani nahin jati hue qasr-o-mahal tamir jin ke dam se duniya mein unhin ki aaj dekho khana-virani nahin jati zaruri hai koi hal dhundhna tadbir se is ka pareshani ke kahne se pareshani nahin jati 'nazar' khud-e'timadi ek dalil-e-kaamyabi hai kabhi khali kisi ki sai-e-imkani nahin jati