tadap ke haal sunaya to aankh bhar aai jo us ne zakhm dikhaya to aankh bhar aai thi jis charagh se qaem meri umid-e-sahar hawa ne us ko bujhaya to aankh bhar aai zamane-bhar ka sitam sah ke muskuraata raha fareb apnon se khaya to aankh bhar aai hamare shahr ki galiyon mein qahr dhate hue lahu ka sail dar aaya to aankh bhar aai saba ne aah khizaon ke sath mil kar phir gulon ka rang udaya to aankh bhar aai jabin-e-haal pe mazi ki talkh yaadon ne sunahra naqsh banaya to aankh bhar aai tamam umr to apnon ki thokaron mein rahe kisi ne sar pe bithaya to aankh bhar aai bichhadte waqt kisi ne jo pyar se 'shamsi' machal ke hath hilaya to aankh bhar aai