zindagi se mili saughat ye tanhai ki khwab tute hain kai aankh mein sahrai ki kyun sar-e-bazm meri us ne pazirai ki us mein sazish to nahin phir se mere bhai ki barq manzar se nigahon ki basarat chhine fikr dushman ko mere hai meri binai ki log chehre pe udasi ka sabab puchhenge kya kahunga ki mujhe fikr hai ruswai ki log bahar se samajhte hain bahut khush hun main kya khabar un ko mere zakhm ki gahrai ki main bhi aaunga tujhe dene mubarakbaadi jab bhi aawaz sununga teri shahnai ki chhin kar munh se gharibon ke niwale 'shamsi' hakim-e-waqt ne kya khub masihai ki