tajalli tur ki har su ayan hai magar zauq-e-kalimana kahan hai yahi hai rahbari ai rahnumao na manzil hai na manzil ka nishan hai lahu rota hai jo auron ki khatir haqiqat mein wahi dil shadman hai ajab shai hai rabab-e-zindagi bhi kabhi naghma kabhi aah-o-fughan hai agar waqf-e-mohabbat ho to neamat nahin to zindagi bar-e-garan hai karishma hai ye teri be-rukhi ka zamin dushman falak na-mehrban hai khirad ki rah mein barg-e-gul-e-tar junun ki rah mein sang-e-giran hai sun ai bedad-gar begana-khu sun ye khamoshi bhi ek tarz-e-fughan hai munawwar hai bashar ka zehn lekin harim-e-dil abhi zulmat-nishan hai gulistan ki faza ab bhi na badli wahi gulchin wahi barq-e-tapan hai rihai qaid se bad-tar hai yani dil-e-tair asir-e-ashiyan hai mitane se kahan mitti hai 'sabir' ye urdu 'mir'-o-'ghaalib' ki zaban hai