udti rahti thi sada khitta-e-viran mein khak aa gai chupke se ab ke mere dalan mein khak mutmain tha main ki aandhi ko thame arsa hua ghaur se dekha to qabiz thi dil-o-jaan mein khak khwahishen chaak pe rakkhi hain ki surat ubhre gard ke sath mili hai mere arman mein khak jis ko bhi dekho wo bad-haal nazar aata hai ab to dakhil hui insan ke iman mein khak bhagti-daudti duniya mein kise fursat hai jamti jati hai yahan mir ke diwan mein khak jaane kya guzrega ab qais pe allah jaane ret sahra mein nahin aur na bayaban mein khak