uthae dosh pe tarikh-e-hadsat-e-jahan guzar raha hai dayar-e-hayat se insan bichha raha hai fazaon mein dam-e-kahkashan tere gudaz badan ka tabassum-e-pinhan labon pe lakh lagae koi sukut ki mohr magar khamoshi na hogi jarahaton ki zaban bhadak uthe na kahin phir charagh-e-zakhm ki lau sambhal sambhal ke sunao hadis-e-shahr-e-butan dhuan dhuan si mili hai faza-e-shahr-e-junun bujhi hai raat gae jab bhi mashal-e-zindan ye wo jahan hai ki har shahr-e-sang-o-khisht ke baad qadam qadam pe hai 'ishrat' dayar-e-shisha-garan