yahan jo zakhm milte hain wo silte hain yahin mere tumhaare shahr ke sab log to dushman nahin mere talash-e-ahd-e-rafta mein ajaib-ghar bhi dekhe hain wahan bhi sab hawale hain kahin tere kahin mere zara si main ne tarjihat ki tartib badli thi ki aapas mein ulajh kar rah gae duniya o din mere falak had hai ki sarhad hai zamin madan hai ya madfan mujhe bechain hi rakhte hain ye wahm o yaqin mere main tere zulm kaise hashr tak sahta chala jaun bas ab to faisle honge yahin tere yahin mere achanak kis tarah aakhir ye duniya chhod sakta hun khazane ja-ba-ja madfun hain zer-e-zamin mere to jab mere kiye par hai mera anjam phir anjam ye mazi haal mustaqbil to hain zer-e-nagin mere