tohfa ye mohabbat ki nazar chhod gai hai kuchh kuchh khalish-e-dard-e-jigar chhod gai hai paimane mein saqi ki nazar mai ki jagah par pine ke liye khun-e-jigar chhod gai hai jis rah se khud gardish-e-dauran bhi na guzri wo mere liye rahguzar chhod gai hai tanzim-e-charaghan ke liye dhundh ke mujh ko ghanghor andheron mein sahar chhod gai hai murjha na saka jo kabhi garmi-e-khizan se us phul ko gulchin ki nazar chhod gai hai kya soch ke mashshata-e-zau ru-e-ufuq par uljhe hue gesu-e-sahar chhod gai hai ai maslahat-e-waqt ye kyon aatish-e-haalat basti mein akela mera ghar chhod gai hai main qatl hua hun to mere khun ki har bund tarikh ke daman par asar chhod gai hai padte hi 'kamal' us ki nazar mujh pe ba-sad-naz ilzam-e-mohabbat mere sar chhod gai hai