tamkanat ka zawal ho to sahi mah-e-kaamil hilal ho to sahi rad hamara sawal ho to sahi ye kisi mein majal ho to sahi ghar to kya shahr chhod sakta hun pahle jina wabaal ho to sahi jurat-e-arz-e-haal hai to magar fursat-e-arz-e-haal ho to sahi hum bhi kuchh apni rae pesh karen guftugu-e-jamal ho to sahi khushk ho kar bhi lab shagufta hain tishnagi mein kamal ho to sahi