talkhiyan rah jaengi lafz-e-wafa rah jaega darmiyan ikhlas ke phir ek khala rah jaega hadsat-e-zindagi par ghaur karna chahiye chhut jaega niwala sab pada rah jaega aanganon ke darmiyan diwar jo uth jaegi dhup mein apna koi bahar khada rah jaega din ke hangame mein gum ho jaega mera wajud aaine mein mujh sa koi dusra rah jaega is masafat ki kabhi takmil mumkin hi nahin aane jaane ka faqat ek silsila rah jaega dekh kar makruh sazish ganw ki dahliz tak sochta hun main 'nizami' kya bacha rah jaega