tere maiKHane mein aise bahut mai-KHwar baiThe hain

tere maikhane mein aise bahut mai-khwar baithe hain
mai-e-hasti jo pi kar saqiya bezar baithe hain

tadapta hun to mujh ko zindagi ka lutf aata hai
na jaane sar jhukae kyon mere gham-khwar baithe hain

nazar aati hai barq-e-tur maikhane mein ai zahid
magar dair-o-haram mein talib-e-didar baithe hain

dil-e-pur-dagh ko dekho na tum chashm-e-hiqarat se
liye pahlu mein hum ek gulshan-e-be-khar baithe hain

hukumat ki ye khubi hai ki apni khubi-e-qismat
hamare mulk mein ahl-e-hunar be-kar baithe hain

haram hai rah jannat ki meri jannat hai mai-khana
wahan din-dar baithe hain yahan mai-khwar baithe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close