wo bhi kya din the sukun-e-zindagi dekha na tha dhup thi sahra tha hum the dur tak saya na tha ya bhari basti mein koi us ko padh sakta na tha ya jabinon par koi harf-e-shikan likkha na tha gham ki tariki mein gum tha mera ehsas-e-nazar dil mein teri yaad ka suraj abhi nikla na tha har kiran ki dhaar garche kund itni bhi na thi raat ka patthar kisi surat magar katta na tha ek muddat ho gai thi mujh ko apne ghar mein band mere darwaze pe dastak koi bhi deta na tha gumbad-e-be-dar ki surat thi hayat-e-be-sabaat main hisar-e-zat se bahar kabhi nikla na tha sab hi aankhon mein sajae phir rahe the ratjage kya sabab tha shahr mein kal shab koi soya na tha ba'd muddat jab hua tha aaine ke ru-ba-ru yun laga tha jaise ye chehra mera apna na tha kya hua ab dil ki dhadkan bhi sada deti nahin itna gahra pahle is basti mein sannata na tha kaun pani mein utar kar dhundhta 'sajjad' ko mauj ne us ka fasana ret par likkha na tha