yun main sidha gaya wahshat mein bayaban ki taraf hath jis tarah se aata hai gareban ki taraf baithe baithe dil-e-gham-ghin ko ye kya lahr aai uth ke tufan chala dida-e-giryan ki taraf dekhna lala-e-khud-raw ka lahakna saqi koh se daud gai aag bayaban ki taraf ro diya dekh ke aksar main bahaar-e-shabnam hans diya dekh ke aksar gul-e-khandan ki taraf baat chhupti nahin padti hain nigahen sab ki us ke daman ki taraf mere gareban ki taraf saikdon dagh-e-gunah dho gae rahmat se teri kya ghata jhum ke aai thi gulistan ki taraf chashm-e-aina pareshan-nazari sikh gai dekhta tha ye bahut zulf-e-pareshan ki taraf sar jhukae hue hai 'nazm' basan-e-khama samt sajde ki hai teri khat-e-farman ki taraf