tera kucha na chhutega tere diwane se is ko ka'be se na matlab hai na but-khane se jo kaha main ne karo kuchh mere rone ka khayal hans ke bole mujhe fursat hi nahin gane se khair chup rahiye maza hi na mila bose ka main bhi be-lutf hua aap ke jhunjhlane se main jo kahta hun ki marta hun to farmate hain kar-e-duniya na rukega tere mar jaane se raunaq-e-‘ishq badha deti hai betabi-e-dil husn ki shan fuzun hoti hai sharmane se dil-e-sad-chaak se khul jaenge hasti ke ye pech bal nikal jaenge is zulf ke is shane se safha-e-dahr pe hain naqsh-e-mukhalif 'akbar' ek ubharta hai yahan ek ke mit jaane se