ye bhi mumkin hai ki aankhen ho tamasha hi na ho ras aane lage hum ko to ye duniya hi na ho zindagi chahen to khwabon se siwa kuchh na mile dubna chahen to hasil hamein dariya hi na ho dil ko khush karne ko dhunde hain bahane hum ne ab palat kar zara dekhen kahin aaya hi na ho ab to bas saat-e-gum-karda ki yaaden baqi ye wo jangal hai ki jis mein koi rasta hi na ho kaam kya dega wo tuta hua aaina bhi yaad rakhne ko wahi aks wo chehra hi na ho hijr ko shauq-e-mudawa hi samajh kar ji len zindagi tujh se ulajhne ka to yara hi na ho