talash-e-yar mein guzri hai zindagi tanha bhatak raha hun andheron mein aaj bhi tanha wahan to sans bhi lena azab lagta hai sisak rahi ho jahan koi zindagi tanha akela main hi nahin hun asir-e-zulmat-e-gham bujha bujha hai andheron mein chand bhi tanha tamam chand sitaron ka nur ek taraf aur ek samt hai suraj ki raushni tanha mere khulus mein shayad kami hai kuchh warna mujhi se karte hain kyun log dushmani tanha kisi ki zulf ka saya talash kar warna 'asar' guzar na sakegi ye zindagi tanha