wo ek hasin kabhi tanha nahin nikalta hai ki jaise chand akela nahin nikalta hai har aadmi se wafa ki umid mat rakkho har ek zamin se sona nahin nikalta hai gharon mein chaaron taraf qumqume to raushan hain magar dilon se andhera nahin nikalta hai kuchh imtihan faqat imtihan hote hain har imtihan ka natija nahin nikalta hai kabhi kabhi badi mushkil se baat banti hai ghazal ka sher hamesha nahin nikalta hai hamare dard ki daulat faqat hamari hai zamane ja tera hissa nahin nikalta hai 'kamal' ab to adu ki shanakht mushkil hai har ek bam se falita nahin nikalta hai