us saz ki aawaz zara bhi nahin aati

us saz ki aawaz zara bhi nahin aati
dil tutta hai aur sada bhi nahin aati

rang ud gaya aisa jo dulhan ho gai bewa
hathon mein nazar us ke hina bhi nahin aati

ye hai nai tahzib ki uryani ka aalam
fakhr is ko samajhne mein haya bhi nahin aati

raushan wo charagh apne azaem se kiya hai
is samt hawa ki to hawa bhi nahin aati

marne se na ghabrao agar hadisa aae
marzi na ho rab ki to qaza bhi nahin aati

har baat mein wo ijz ke paikar hain nazar hum
lab par kabhi guftar-e-ana bhi nahin aati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close