taza hawa bahaar ki dil ka malal le gai pa-e-junun se halqa-e-gardish-e-haal le gai jurat-e-shauq ke siwa khalwatiyan-e-khas ko ek tere gham ki aagahi ta-ba-sawal le gai shola-e-dil bujha bujha khak-e-zaban udi udi dasht-e-hazar-dam se mauj-e-khayal le gai raat ki raat bu-e-gul kuza-e-gul mein bas gai rang-e-hazar mai-kada ruh-e-sifal le gai tez hawa ki chap se tira-banon mein lau uthi ruh-e-taghayyur-e-jahan aag se fal le gai nafa-e-ahu-e-tatar zakhm-e-numud ka shikar dasht se zindagi ki rau ek misal le gai hijr o visal o nek o bad gardish-e-sad-hazar-o-sad tujh ko kahan kahan mere sarw-e-kamal le gai narm hawa pe yun khule kuchh tere pairahan ke raaz sab tere jism-e-naz ke raaz-e-visal le gai matam-e-marg-e-qais ki kis se banegi dastan nauha-e-be-zaban koi chashm-e-ghazal le gai