zindagi ghamgin hoti ja rahi hai aarzu rangin hoti ja rahi hai chand tare aasmanon mein tange hain raat ki tazin hoti ja rahi hai zulm phir parwan chadhta ja raha hai zabt ki tauhin hoti ja rahi hai samt-e-mashriq dekhta hun main ujala raat ki takfin hoti ja rahi hai shadman sa hai 'nizami' aaj-kal wo ruh ki taskin hoti ja rahi hai