udte lamhon ke bhanwar mein koi phansta hi nahin is samundar mein koi tairne wala hi nahin salha-sal se viran hain dil ki galiyan ek muddat se koi is taraf aaya hi nahin aankh ke ghaar mein hain saikdon sadti lashen jhank kar un mein kisi ne kabhi dekha hi nahin dur tak phail gai tutte lamhon ki khalij waqt ka saya mere sar se utarta hi nahin silsila rone ka sadiyon se chala aata hai koi aansu meri palkon pe thaharta hi nahin jalte aakash ki dhalwan pe suraj ka wajud ek pighalta hua lawa hai ki bujhta hi nahin