tujhe kya khabar mere ham-safar mera marhala koi aur hai mujhe manzilon se gurez hai mera rasta koi aur hai meri chahaton ko na puchhiye jo mila talab se siwa mila meri dastan hi ajib hai mera masala koi aur hai ye hawas ke bande hain naseha na samajh sake mera muddaa mujhe pyar hai kisi aur se mera dil-ruba koi aur hai mera zauq-e-sajda hai zahiri ki hai kashmakash meri zindagi ye guman dil mein raha sada mera muddaa koi aur hai wo rahim hai wo karim hai wo nahin ki zulm kare sada hai yaqin zamane ko dekh kar ki yahan khuda koi aur hai main chala kahan se khabar nahin ki safar mein hai meri zindagi meri ibtida kahin aur hai meri intiha koi aur hai mera nam 'darshan'-e-khasta-tan mere dil mein koi hai zau-fagan main hun gum kisi ki talash mein mujhe dhundhta koi aur hai