us ke honton pe bad-dua bhi nahin ab mere waste saza bhi nahin lafz khamoshiyon ka parda hain bolta hai wo bolta bhi nahin main ne phulon ko khilte dekha hai us ne honton se kuchh kaha bhi nahin ek muddat se sath hun apne aur main khud ko jaanta bhi nahin hadse aam ho gae itne mud ke ab koi dekhta bhi nahin jaane kyun dil ki aankh roti hai mere andar koi mara bhi nahin