tamasha ahl-e-mohabbat ye chaar-su karte dil-o-dimagh aur aankhen lahu lahu karte wo raushni se bhari jhil ke kinare par shikasta-ruh, darida-badan rafu karte hamare bare mein taftish karna chahte the to jaan-e-jaan parindon se guftugu karte jamal-o-husn se labrez jab zamana hai teri bisat hi kya teri aarzu karte zamin pe chand sitare bichha ke ai 'hashim' falak pe phul sajaane ki aarzu karte