tere khayal teri aarzu se dur rahe nawab ho ke bhi hum lucknow se dur rahe badan ke zakhm to chaaragaron ne si dale magar ye ruh ke chhaale rafu se dur rahe zamin pe tapka to ye inqalab laega use bata do, wo mere lahu se dur rahe kiya hai hum ne tayammum bhi khak-e-maqtal par namaz-e-ishq padhi aur wuzu se dur rahe meri zaban ka charcha tha aasmanon par zamin wale meri guftugu se dur rahe