zabanon par nahin ab tur ka fasana barson se tajalli-gah-e-aiman hai dil-e-diwana barson se kuchh aisa hai fareb-e-nargis-e-mastana barson se ki sab bhule hue hain kaba o but-khana barson se wo chashm-e-fitnagar hai saqi-e-mai-khana barson se ki baham lad rahe hain shisha o paimana barson se na ab mansur baqi hai na wo dar-o-rasan lekin faza mein gunjta hai nara-e-mastana barson se chaman ke naunihaal is khak mein phulen phalen kyunkar yahan chhaya hua hai sabza-e-begana barson se ye aankhen muddaton se khugar-e-barq-e-tajalli hain nasheman bijliyon ka hai mera kashana barson se tere qurban idhar bhi ek jhonka abr-e-rahmat ka jabinon mein girah hai sajda-e-shukrana barson se 'suhail' ab kis ko sajda kijiye hairat ka aalam hai jabin khud ban gai sang-e-dar-e-jaanana barson se