wo yaqin jo qayas lagta hai wahm hi ki asas lagta hai waza-dari ko odh kar aksar aadmi be-libas lagta hai aaine mein khud apna chehra bhi in dinon na-shanas lagta hai rut khizan ki nahin kahin lekin bagh sara udas lagta hai gul khilae kahin na wo pauda dekhne mein jo ghas lagta hai pas jis ke hai dil kabutar ka zahiran be-hiras lagta hai yaad jis ki liye hai dil 'nadim' dur ho kar bhi pas lagta hai