zawiya koi muqarrar nahin hone pata daimi ek bhi manzar nahin hone pata umr-e-masruf koi lamha-e-fursat ho ata main kabhi khud ko mayassar nahin hone pata aae din aatish o aahan se guzarta hai magar dil wo kafir hai ki patthar nahin hone pata kya use jabr-e-mashiyat ki inayat samjhun jo amal mera muqaddar nahin hone pata chashm-e-pur-ab samo leti hai aalam ki gard aaina dil ka mukaddar nahin hone pata chadar-e-ijz ghata deti hai qamat mera main kabhi apne barabar nahin hone pata fan ke kuchh aur bhi hote hain taqaze 'mohsin' har sukhan-go to sukhan-war nahin hone pata