wusat-e-aghosh-e-alam be-karan hote hue

wus'at-e-aghosh-e-alam be-karan hote hue
dar-ba-dar phirte hain hum sara jahan hote hue

koi mange ke ujale ka bharosa kya kare
hum ne dekha hai charaghon ko dhuan hote hue

de diya hai khun-e-dil se jaan-nisari ka subut
jab kabhi dekha hai un ko bad-guman hote hue

fakhr mat karna zar-o-mal-e-jahan par dosto
achchhe-achchhon ko hai dekha be-nishan hote hue

jang-amada hui jab sehn-e-gulshan ki hawa
tukde tukde sab ne dekha aashiyan hote hue

kyon zalil-o-khwar hote ja rahe hain ahl-e-haq
dar tak jaane ki lambi dastan hote hue

hum ne rakkhi hai 'zaki' mahfuz gham ki aabru
muskuraate hain sada dard-e-nihan hote hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close