tere hairat-zadagan aur kahan jate hain kahiye gar aap se jate hain to han jate hain we nahin hum ki tere jaur se uth jate hain ji hai jab lag nahin ai jaan-e-jahan jate hain kaun wo qabil-e-kushtan hai batao hum ko aap jo us pe liye tir-o-kaman jate hain jyun nagin ru-siyahi nam se yan hasil hai namwar we hain jo benam-o-nishan jate hain sang-e-hasti se ki tha mane-e-rah-e-maqsud jast kar misl-e-sharar garm rawan jate hain tujh ko fahmid kahan shaikh ki samjhe ye ramz wan nahin bar-e-malak yar jahan jate hain mujh ko us tifl-e-pari-ru ne kiya diwana hosh se dekh jise pir o jawan jate hain ghair-e-jauhar nahin e'raaz se un ko kuchh kaam rang-o-bu par nahin sahib-nazaran jate hain khwab 'bedar' musafir ke nahin haq mein khub kuchh bhi hai tujh ko khabar ham-safaran jate hain