kitna ajib-tar hai ye rabt-e-zindagani hasti tamam shola aalam tamam pani jalwe yahi rahenge nazren yahi rahengi baqi hai aur rahega ye irtibaat-e-fani hai ek zaban-e-ulfat har paikar-e-mohabbat aansu bhi tarjumani gesu bhi tarjumani ek lamha-e-tabassum wo lamha-e-nazar hai jis par koi luta de ek umr-e-jawedani phulon ko taulna hai kanton se khelna hai dil ki nazakaton mein un ki mizaj-dani gham zindagi hai lekin shaer 'nushur' tera naghmon se khelta hai jab tak hai zindagani