wo bhi rahe ghurur mein hum bhi the aan mein tuti tanab-e-ishq isi khinch-tan mein lab par rahi hai us se bichhad kar bhi ek hansi kuchh phul kaghazi bhi rahe phul-dan mein badhne laga hai raat ki tanhaiyon ka shor chubhne lagi sukut ki aawaz kan mein tu bhi wahi hai main bhi wahi hun wahi hain sab kuchh bhi naya nahin hai meri dastan mein bharne laga hai aarzi duniya se mera dil main ubne laga hun ab is martaban mein kaise hon ek niyam mein talwar do so hum apna wajud bhul gae us ke dhyan mein