tapte sahra mein kahin koi shajar aata hai dard par tark-e-sukunat ka asar aata hai sadma-e-hijr se mahfuz rakhunga tujh ko mujh ko qiston mein bichhadne ka hunar aata hai din guzar jata hai tabir ki hasrat le kar raat hoti hai to phir khwab utar aata hai jab se jaane hain mohabbat ke fawaed hum ne ek hi shakhs kai bar nazar aata hai dard-e-furqat mein teri aankhen faqat gili huin meri aankhon mein miyan lal color aata hai hijr ki shab mere pahlu mein raha teri tarah wo sitara jo bahut dur nazar aata hai koi aawargi-e-shahr se bach hi na saka ab parinda bhi kahan sham ko ghar aata hai mujh ko chamka gai 'afaq' badon ki sohbat jaise qatre pe samundar ka asar aata hai