use shauq-e-ghota-zani na tha wo kahan gaya mere najm-e-ab mujhe bata wo kahan gaya jo lakir pani pe naqsh thi wo kahan gai jo bana tha khak pe zaicha wo kahan gaya kahan tute meri tanab-e-jism ke hausle jo laga tha khema wajud ka wo kahan gaya jo zamin panw tale bichhi thi kidhar gai wo jo aasman saron pe tha wo kahan gaya gae kis jihat ko tikon khwab ke zawiye jo ruka tha aankh mein daera wo kahan gaya abhi aks us ka ubhar raha tha ki dafatan mere aaine se bichhad gaya wo kahan gaya kahan gum huin wo zaban o kaam ki lazzaten jo phalon mein hota tha zaiqa wo kahan gaya