taqat nahin hai dil main ne ji baja raha hai kya naz kar rahe ho ab hum mein kya raha hai jeb aur aastin se rone ka kaam guzra sara nichod ab to daman par aa raha hai ab chait gar nahin kuchh taza hua hun bekal aaya hun jab ba-khud mein ji is mein ja raha hai kahe ka pas ab to ruswai dur pahunchi raaz-e-mohabbat apna kis se chhapa raha hai gard-e-rah us ki yarab kis aur se uthegi sau sau ghazal har-su aankhen laga raha hai bande to trahdar whin tarah kash tumhaare phir chahte ho kya tum ab ek khuda raha hai dekh us dahan ko har-dam ai aarsi ki yun hi khubi ka dar kaso ke munh par bhi wa raha hai we lutf ki nigahen pahle fareb hain sab kis se wo be-murawwat phir aashna raha hai itna khizan kare hai kab zard rang par yan tu bhi kaso nigah se ai gul juda raha hai rahte hain dagh aksar nan-o-namak ki khatir jine ka us samayn mein ab kya maza raha hai ab chahta nahin hai bosa jo tere lab se jine se 'mir' shayad kuchh dil utha raha hai