taqat nahin hai ji mein nai ab jigar raha hai phir dil sitam-rasida ek zulm kar raha hai mara hai kis ko zalim us be-saliqagi se daman tamam tera lohu mein bhar raha hai pahuncha tha tegh khinche mujh tak jo bole dushman kya marta hai us ko ye aaphi mar raha hai aane kaha hai mere khush-qad ne raat guzre hangama-e-qayamat ab subh par raha hai chal ham-nashin ki dekhen aawara 'mir' ko tak khana-kharab wo bhi aaj apne ghar raha hai